Let the light pierce through the darkness Close all old accounts, turn a new leaf Re-learn that old lesson of friendship Kill nor be killed, settle for lessening Amidst us of this fossilized hatred
dKing Unleashed
Ramblings of an idle mind
Perhaps that time has not come yet when our, Gods would listen to the beats in our hearts, peace and happiness spread their glow, perhaps we would have to force Mother Time?.
Yadein aur Tamannaein!
dil mein aaj kuch aisa samaya
yaad koi humein woh khaas insaan aaya
zindagi yeh haseen hai pal, do pal
tamanna hai bahon main unke guzre hamari saans, kal aaj aur kal!
दिल मैन आज कुच ऐसा समाया,
याद कोइ हमैन वोह खास इन्सान आया!
जिन्दगि यह हसीन है पल, दो पल,
तमन्ना है बाहोन मैन उन्के गुजरे हमरी सान्स, कल आज और कल!
| Subscribe to my feeds |
Dil ki Aawaz!!
kuch panktiyaan likhna chahta hun,
labz nahin bante!!!
dil ke durbaar main chiraag-e-roshni jalaana chahta hun,
Roshni nahin milti!!!
Pyaar ke do bol sunata hun,
bas awaaz nahin thamti!!!!
| Subscribe to my feeds |
Man ka Toofaan
aaj na jaane kaisi yeh rut aayee,
man ka chain uda le gayee!
kal tak jo they khoye khoye se,
aaj hain bade ukhde ukhde se!
man main ye utha mera sawaal,
kya humne khada kiya tha koi bawaal?
is toofaan se gire man main,
jaane kahan kho gaya hai mera chain!
badal se gaye hain hum bhi,
badal se gaye hain wo bhi!
ikraar hamara pasand aaya nahin,
pooche bina chain hume aaya nahin!
kho diya hai ek achcha dost shaayad,
ya pehchaan liya hai zindagi ka koi sach naayaab?
man main uthe sawaal hazaar,
dil main se jawaab aaye na ek na chaar!!
Hopefully my last poem on love. I shall now never commit the mistake of falling in love!!! atleast not until i get married to some one!!
hey hang on a sec!!!!!
till then!! Sayonara!!!
| Subscribe to my feeds |
Dil ki Baat
na dekha suraj main usko,
na dekha taaron main usko,
chand si hai meri mehbooba,
chandni main hai dekha usko!!
uske pyaar mein main hua deewaana,
machalta raha, jaise shamma ke pas parwaana,
uske pyaar mein hai mera dil dooba,
jald hi ab uske yeh hai bataana!!!
samajhne ka bahut waqt de diya,
pyaar jataane ki karenge ab kriya,
nahin hone waala koi ajooba,
baat kar ke kahenge ishq ke samundar main tair liya!!
| Subscribe to my feeds |
dil ki adhoori dastaan
kaam ke is jhamele main,
fase hain is zindagi ke mele main!!
kuch tanha se, kuch mayoos se,
kabhi haste se, kabhi khilkhilate se!!
kuch ajeeb si kasak hoti hai dil mein,
dastaan aisi yaad aati hai zubaan pe!!!
woh pal, woh tanhai, woh shor,
waqt hi kuch aisa tha, ab ho rahe hain hum bore!!
ek aisi hai daastan bani,
kuch jaani, kuch anjaani!!
dard bhar jaati hai dil mein,
garmiyon mein, sardiyon mein!!
| Subscribe to my feeds |
All views expressed are the property of Nirav Thakker. They may or may not be completely in sync with what you like, but I have all my rights to say what I want!
![[del.icio.us]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/delicious.png)
![[Digg]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/digg.png)
![[Facebook]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/facebook.png)
![[Google]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/google.png)
![[Mixx]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/mixx.png)
![[Reddit]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/reddit.png)
![[StumbleUpon]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/stumbleupon.png)
![[Twitter]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/twitter.png)
![[Email]](http://blog.niravthakker.com/wp-content/plugins/bookmarkify/email.png)

